Friday 31 August 2012


( 1 )


kaun is raah se guzartaa hai
dil yuuN hii intizaar kartaa hai

dekh kar bhii na dekhne vaale
dil tujhe dekh dekh Dartaa hai

shah’r-e-gul meN gayii hai saarii raat
dekhiye din kahaaN guzartaa hai

dhyaan kii siiRhiyoN pe picchle pahar
ko’ii chupke se paaNv dhartaa hai

dil to meraa udaas hai “Nasir”
shah’r kyuuN saaeN saaeN kartaa hai

sumbul meer
( 2 )
‘Nasir’ kya kehta phirta he kuch na suno to behtar he
diwana he diwane k mun na lago to behtar he


kal jo tha wo aj nahi jo aj he kal mit jayega
rukhi-sukhi jo mil jaye shukar karo to behtar he..


kal ye tab-o-tawan na rahegi thanda ho jayega lahu
nam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar he


kya jane kya rut badle halat k koi thek nahi
ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar he,


kapre badal kar bal bana kar kahan chale ho kis k liye
rat bahut kali hai ‘Nasir’ ghar main raho to behtar he..

sweet pari
( 3 )

aj to be-sabab udas hai ji
ishq hota to koi bat bhi thi

jalta phirta hun kyun do-pahron main
jane kya chiz kho gai meri

wahin phirta hun main bhi khak ba-sar
is bhare shahar main hai ek gali

chupta phirta hai ishq duniya se
phailti ja rahi hai ruswai

hamnashin kya kahun k wo kya hai
chor ye bat nind urane lagi

aj to wo bhi kuch khamosh sa tha
main ne bhi us se koi bat na ki

ek dam us k hath chum liye
ye mujhe baithe baithe kya sujhi

tu jo itna udas hai ‘Nasir’
tujhe kya ho gaya bata to sahi

LaZy PriNceSs
( 4 )

Jab raat gaye tiri yaad aayii, sau tareh se jii ko behlaayaa
kabhii apne hii dil se baateN kiiN, kabhii terii yaad ko samjhaayaa

yuuNhii vaqt gaNvaaya motii saa, yuuNhii umr gaNvaayii sone sii,
sach kehte ho tum bhii ham suKhanoN, is ishq meiN ham ne kyaa paayaa?

jab pehl-e-pehl tujhe dekhaa thaa, dil kitne zor se dhaRkaa thaa
vo lehr na dil meiN phir jaagii, voh vaqt na lauT ke phir aayaa

phir aaj tire darvaaze par, baRii der ke baad gayaa thaa magar,
ek baat achaanak yaad aayii, maiN baahar hii se lauT aaya…
ßľǍĉĸРзǍяĹ
( 5 )

Naz e beganagi main kya kuch tha,
Husn ki sadgi main kya kuch tha,

Lakh rahain theen lakh jalway thy,
Ehd-e-aawargi main kya kuch tha,

Ankh khulty hi chup gai har shay,
Aalam-e-bekhudi main kya kuch tha,

Yad hain marhalay muhabbat kay,
haey us bay kli main kya kuch tha,

Kitny beety dinoon ki yad aai,
Aaj teri kami main kya kuch tha,

Kitnay manoos log yad aaey,
Subha ki chandani main kya kuch tha,

Rat bhar ham na so sakay Nasir,
Parda-e-khamshi main kya kuch tha,

No comments:

Post a Comment